Tuesday, August 23, 2005

anjaam abhi baki hai..

Dil dhadakta tha pehle bhi magar
Aisi tadap na thi.

Lab takraye the pehle bhi magar
Rooh yun jalti na thi.

Hosh khoya pehel bhi magar
Saansein yun ulajhati na thi.

Kaisa uns hai ye…
Kaisi chahat hai jo har ghadi tadpati hai

Kaisi aag hai ye …
Jala kar humein jo aazmati hai.

Kaisi hai ye sharab….
Madhosh kar dil ki pyas aur badhati hai

Is qadar pyar karne lage hain kyun bekhabar hoke hum
Sambhal ja aye dil-e-nadan
Dar lagta hai humein….
Ki ye to aagaz hai……anjaam abhi baaki hai….

No comments:

Post a Comment