Monday, August 22, 2005

tumse..

Saamna, tumse…
Ei jindagi, fir ho gaya.
Fir khwabo ki us pagdandi mein,
Mann yeh mera kho gaya.
Wo jo ek pal,
Wo jo ik kadam,
Main jab ruka, ruk kar chala,
Dil ruka nahi, jo gaya.
Muskaan ko bahane,
Chahiye hote the lakho pehle,
Par kya pata, tab toh maano,
Muskurana ,
Saans lena ho gaya.
Saamna jab ho gaya,
Thamna mushkil ho gaya,
Khud ko, khudai ko,
Kya karein hum,
Jo likha tha , ho gaya.

No comments:

Post a Comment