Tuesday, August 23, 2005

kaisi chali hawa

kaisi chali hawa, jo kuchch yun chu kar gayee
chua kya, soyi ruh ko jaga diya
madhosh hawa ne aisa maara, ki bas jeena sikha diya

honth muskurahat ko bhool gaye the
dil ki chahat ki nami aankhon se chalakti thi
gawan baithe the jo dil ka sukoon, yun laut ke aayega.... kabhi socha na tha.......
ki khuda bhi mujhpe aisi bandagi farmaayega

purwa chali aisi ki bikhar ke simatne lage
hum ik parchhayi mein
armaan dil ke, fir se pighalne lage, us chuan ki tapish mein

koshish to lakh ki dil ko samjhane ki
par dil hi to hai, aadat se majboor
chaaha to bahut ki na chahoon, par kyun chahne lagi ye jaana bhi nahi

bas ab to har pal yahi sochti hoon
ye falak mera nahi, ye fiza bhi meri nahi
kya waasta hai inka mujhse ki lagte kyun hain kuchch apne se

ye jo rangeen karke mere khwaabon ko
fir wahi...
chaahtoon ka toota paimaana .
silwaton mein dabi yaadein....
aur nam kar meri aankhon ko
ye chanchal hawa beh jaayegi
falak dhoondh lenge ek naya aashiyaan
aur fiza kahin aur rangeen ho jaayegi!

No comments:

Post a Comment