shant hai nayan tumhare,
shayad kuchh kehna chahte hain.
kya dosh doon in nayno ko.
hontho ke aage kya bisat,
dekho to mere haalat.
sochte hi sochte,
insaan se bhagwan ho gaya.
par sochta hi to raha.
shant hai jo nayan tumhare,
sayad hai kuchh..jo chhup raha.
lekin chhupa jo sadiyo se,
kaise prakat ho, kya pata?
lagta jo prakat, wahi hota hai paroksh.
jahir itna hi karte hain,
tumhare yeh vachaal nayan.
No comments:
Post a Comment