Tuesday, August 23, 2005

intezaar aur sahi

Dhadkan jo badal gayi hai
Saansein jo ulajh gayi hain.., kabhi suljahe nahi
Itni si khwayish leke jeete hain
Jaan aur jigar kya
Lahu banke meri nas nas mein vo behte hain

Ek mulakat ki zustuzoo hai kabse
Apne behakte dil ko sambhalein bhi ito kaise
Aarzo koi itni badi bhi to nahi
Ise dil se nikale bhi to kaise?

Ishq samandar mein
Reh reh ke armaanon ki lehar jo uthati hai
Kahin baha na le jaye hamein , hum darte hain
Hath badhake thaam lo humein….ki ab to jaan-o- hosh gavan bhaithe hain

Ab aisa alam hai dil ka kya kahein
Har lamha marte hain…ek aag mein pal pal jalte hain
Sukhe labon se , pyasi nazron se jab bhi dekha unhe
Vo muskurate hue keh jaate hain…….

“Zindagi bahut lambi hai..
Aur hum hain to aapke hi…..
Mulaqat to honi hai jaan
Bas kuchh pal!……intezaar aur sahi! “

No comments:

Post a Comment